IPL ShyPL

There are plenty of endearing ways that we Indians speak. One of these is the way two words are used together. Like, I don't want to go to any party-sharty. In Hindi, it sounds just right. Mujhe koi party-sharty nahin jaana. So what is it that is happening to the IPL-ShyPL this year?

Koi Paul-Waul aagaya, pata nahin kahan se, aur dhuandhaar century maar ke apne team ko jitaya. Sachin ne phir century maari, aur phir uski team haari. Yeh koi bhoot-woot to nahin hai na uski century mein, jo uski team ko dubaata hai?

Kolkata Knight Riders jeetne laga- ek aur bhoot ke team se nikaale jaane ke baad- jo kaafi dadagiri karne ka aadi thaa. Ab unki haar bhoot-kaal mein jamaa ho gayi hai. Apna Punjabi puttar Pune pahunchke jeetna seekh gaya. Aur Pune Warriors ka home-ground Mumbai kabse hone laga bhai? NAVI hui to kya hua? Mumbai to Mumbai hai, aur Pune Pune.

Jo cheerleaders kapde kam karne mein maahir thee, woh ab nau yard ki saadee bhi pehenne lagi hain. Aur phir bhi dekhne waale mazaa lete rahe. Iska matlab hai ki sirf kapde utaarne se entertainment nahin hoti- aur bahut se tareeke hain logon ko khush karne ke.

Aur finally, zoo-zoos waali ads (vigyaapan) ke aagey baaki sab ads pheeki padne lagi hain. Kuch nai soch-woch dikhaiye, baaki adworld waale,varna extinct ho jaaoge, apne products ke saath.

No comments:

Turkish Serial

 I happened to watch completely a serial with 164 episodes! Originally Turkish, with subtitles, though a few words seemed familiar as we hav...

These Were Liked a Lot