Hyderabadi Conversation

Kya karra re tu?

Kaiku?

Aise kochhanaa nahin poochhna miyan. Kya tobhi karinge na. Chal merku bore marra, picture dekhke ainge Abids jaake.

Picturaan dekhneku time kahaan hai yaaro, yahaan din raat kaam karaare bossaan..uski to..

Gaaliyan nakko do yaaron, salary bhi deraa na uneich?

Kaheki salary? Idhar se aati, udhar chale jati, maloomich nahi hota kab aayi, kab gayi bolke.

Diwali ka bonus milta honga na tumku?

Kaunsi Diwali? Idhar apna diwala nikalne ku aaya..aur patakhe bhi nahin phodna kate abbi.

1 comment:

Harimohan said...

Sahi bole yaaron. Bahut pareshaan karre yeh logan.

Pu La Deshpande

 To honour the memory of Pu La Deshpande, famous humourist, there was a program at the Film Archives, Pune. A film about him was screened, a...

These Were Liked a Lot