Showing posts with label Faraz. Show all posts
Showing posts with label Faraz. Show all posts

A Lovely Ghazal by Ahmed Faraz

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
Aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa

Kuch to mere pindar-e-mohabbat (pride in my love) ka bharam rakh
Tu bhi to kabhi mujhko manaane ke liye aa

Pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi to
Rasm-o-reh-e-duniya hi nibhaane ke liye aa

Kis kis ko bataayenge judaai ka sabab hum
Tu mujhse khafaa hai, toh zamaane ke liye aa

Ek umr se hun lazzat-e-giriyan (luxury of crying) se bhi mehroom (deprived)
Ai raahat-e-jaan mujhko rulaane ke liye aa

Ab tak dil-e-khushfaham ko tujhse hai ummeeden
Yeh aakhri shammein bhi bujhaane ke liye aa


This a classic by Faraz sung by many ghazal singers- Jagjit's version is well-known. Found it in a collection of Urdu poets.

Interfaith Dialogue - An Online Course by JIS University

 We launched this unique Online Program today. Will run from Sept. till Jan 2026, twice a week. Free, online. We had representatives from th...

These Were Liked a Lot